vo koī jādūī taḳhlīq nazar aatī hai
duur se bhī mujhe nazdīk nazar aatī hai
jis se khiltā hai bayābāñ meñ guloñ kā mausam
husn-e-jānāñ meñ vo tahrīk nazar aatī hai
hai mohabbat meñ ujālā hī ujālā lekin
ye guphā duur se tārīk nazar aatī hai
aap kyoñ hijr ke topic pe pareshāñ ho jī
kyā kahīñ par koī tashkīk nazar aatī hai
nazm ho yā ho ġhazal yā koī pyārī tasvīr
nasl-e-gauhar hī kī taḳhlīq nazar aatī hai
āj-kal maiñ bhī pareshāñ huuñ mire paper haiñ
āj-kal vo bhī bahut weak nazar aatī hai
haath phailā.ūñ to aatā hai nazar haal mirā
haath bāñdhūñ to mujhe bhiik nazar aatī hai
aur ab kuchh bhī nahīñ Thiik se dikhtā mujh ko
yaar lekin tū mujhe Thiik nazar aatī hai