Ali Qaisar

main jo chahun bhi to aisa nahin hone degi

Ali Qaisar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1996
maiñ jo chāhūñ bhī to aisā nahīñ hone degī
tū mujhe aur kisī kā nahīñ hone degī
tirī āvāz jagā.egī samā.at meñ fusūñ
terī sūrat mujhe andhā nahīñ hone degī
baap koī bhī musībat nahīñ aane degā
maañ mire dil meñ añdherā nahīñ hone degī
roz aa jaatā hai mujh ko koī massage us kā
ya.anī vo ġham kā izāla nahīñ hone degī
ik tavā.if jo jalātī hai badan se chūlhā
apnī beTī ko afīfa nahīñ hone degī
tū mirī maan kisī aur se shādī kar le
merī ġhurbat to ye rishta nahīñ hone degī
vo judā ho bhī agar hogī salīqe se 'alī'
ya.anī dhoke ko tamāshā nahīñ hone degī
Top Urdushayar.com