Rauf Yasin Jalali

aazar-e-dil se rang-e-tabiat badal gaya

Rauf Yasin Jalali

Pakistan

1957
āzār-e-dil se rañg-e-tabī.at badal gayā
āḳhir dimāġh fikr-e-musalsal se chal gayā
jalva hazār pardoñ meñ chhuptā nahīñ kabhī
tāb-e-ruḳh-e-nigār se ghūñghaT hī jal gayā
da.avā karūñgā dāvar-e-mahshar ke sāmne
duniyā se merī terī kashākash kā hal gayā
afkār tere husn kī jādūgarī sanam
har sher terī zulf kī ḳhushbū meñ Dhal gayā
kal zindagī se apnī kuchh aise ḳhafā thā maiñ
tum ne ye samjhā siine se armāñ nikal gayā
āvārgī le jaa.e hai jaane kahāñ kahāñ
niklā maiñ sahrā se jūñhī sū-e-jabal gayā
uThtā hai dard pahlū meñ goyā nahīñ hai dil
jaadū kisī kī shoḳh nigāhoñ kā chal gayā
haiñ bul-havas hazāroñ koī ahl-e-dil nahīñ
ab rasm-e-āshiqī se bhī husn-e-amal gayā
daa.im shab-e-firāq meñ sho.ale se ishq ke
misl-e-charāġh dāġh-e-dil-e-ḳhasta jal gayā
kyā us ke jī meñ aa.ī ki muddat ke ba.ad yaar
khulne lagā thā ham se va-lekin sambhal gayā
āshuftagī se mere dil-e-nā-tavāñ kā haal
bigḌā ḳhudāyā aisā mirā dam nikal gayā
fariyād-e-sho.ala-bār ne kyā kyā ġhazab kiye
jāveñ kahāñ 'jalālī' chaman saarā jal gayā
Top Urdushayar.com