bahut rusvā kyā is āshiqī ne har galī mujh ko
liye phirtī rahī har jā ye merī bekasī mujh ko
chhupā.e se nahīñ chhuptī haqīqat khul hī jaatī hai
sar-e-bāzār le aa.ī mirī dīvāngī mujh ko
ḳhabar kyā thī yahī ik din qayāmat mujh pe Dhā.egī
pasand aa.ī thī bachpan meñ tirī ye sādgī mujh ko
nigāh-e-nāz ne un kī mujhe ik armuġhāñ baḳhshā
milā darbār-e-ulfat se shu.ūr-e-zindagī mujh ko
dil-o-jān-o-jigar qurbān maiñ ne kar diye saare
rulātī hī rahī akasr tirī begānagī mujh ko
'jalālī' jāda-e-ulfat meñ jab se hai qadam rakkhā
rahī un ke tasavvur meñ hamesha bekalī mujh ko