Rauf Yasin Jalali

chaak daman bhi hua chaak-e-gareban ki tarah

Rauf Yasin Jalali

Pakistan

1957
chaak dāman bhī huā chāk-e-garebāñ kī tarah
aañkh barse hai shab-e-ġham abr-e-bārāñ kī tarah
vaa.e qismat chhā ga.ī ḳhāmoshī dil meñ kis qadar
bujh gayā huuñ maiñ charāġh-e-gor-e-vīrāñ kī tarah
us gul-e-rā.anā kī ulfat chhup nahīñ saktī kabhī
ubhrā hai dāġh-e-vafā mehr-e-daraḳhshāñ kī tarah
hai karāmat ishq kī pahuñchā maiñ bām-e-arsh tak
goyā ik darvesh huuñ maiñ ahl-e-irfāñ kī tarah
in ke va.ade ne mujhe baḳhshā hai zauq-e-zindagī
khil gayā dil ġhuncha-e-jashn-e-bahārāñ kī tarah
pūchh mat mujh se hai kaisī lazzat-e-soz-e-darūñ
jāñ-gudāzī hai mirī sham-e-farozāñ kī tarah
ghar nahīñ daulat nahīñ hurmat nahīñ satvat nahīñ
ham bhī kyā āvāra haiñ gardūn-e-gardāñ kī tarah
mahfil-e-yārāñ nahīñ bazm-e-bahārāñ bhī nahīñ
ham jiye haiñ sākin-e-shahr-e-ḳhamoshāñ kī tarah
bekasī chashm-e-falak ne dam-ba-dam dekhī mirī
duniyā meñ aajiz kahāñ mujh ḳhāna-vīrāñ kī tarah
afsar-e-ḳhūbāñ 'jalālī' Thahrā hai jab se koī
gulshan-e-dil zebā hai firdaus-e-rizvāñ kī tarah
Top Urdushayar.com