Rauf Yasin Jalali

in aankhon mein basa koi zohra-jabin hai ab

Rauf Yasin Jalali

Pakistan

1957
in āñkhoñ meñ basā koī zohra-jabīñ hai ab
muztar kuchh aisā dil hai Thahartā nahīñ hai ab
bachpan hī se the rashk-e-hasīnān-e-dil-fareb
ahd-e-shabāb un kā ġhazab dil-nashīñ hai ab
dildār mere haañ se bahut mushta.il gayā
ai dil samajh le ḳhair adū kī nahīñ hai ab
āshiq tumhārā kahte haiñ dekhā nahīñ kabhī
ya.anī tumhārī yaad meñ ḳhalvat-guzīñ hai ab
kaafī hai tere haath kā chhallā yahī mujhe
kuchh ḳhātim-e-sulaimāñ kī hasrat nahīñ hai ab
afsāna merā sun ke pashemāñ hai chashm-e-yār
kis darja ḳhashmagīñ thī magar sharmgīñ hai ab
kyā jaane yaaro kis ke tasavvur meñ kho gayā
dekhā 'jalālī' ham ne sarāpā hazīñ hai ab
Top Urdushayar.com