pal pal jiine kī ḳhvāhish meñ karb-e-shām-o-sahar māñgā
sab the nashāt-e-nafā ke pīchhe ham ne ranj-e-zarar māñgā
ab tak jo dastūr-e-junūñ thā ham ne vahī manzar māñgā
sahrā dil ke barābar chāhā dariyā āñkhoñ bhar māñgā
dekhnā ye hai apne lahū kī kitnī ūñchī hai parvāz
aisī tez havā meñ ham ne kāġhaz kā ik par māñgā
abr ke ehsāñ se bachnā thā dil ko harā bhī rakhnā thā
ham ne is paude kī ḳhātir mauj-e-dīda-e-tar māñgā
koī asāsa paas nahīñ aur āñdhī har din kā māmūl
ham ne bhī kyā soch samajh kar be-dīvār kā ghar māñgā
khulā ki vo bhī terī talab kā ik benām tasalsul thā
duniyā se jo bhī ham ne hālāt ke zer-e-asar māñgā