kaun yaad aayā ye mahkāreñ kahāñ se aa ga.iiñ
dasht meñ ḳhushbū kī bauchhāreñ kahāñ se aa ga.iiñ
kaisī shab hai ek ik karvaT pe kaT jaatā hai jism
mere bistar meñ ye talvāreñ kahāñ se aa ga.iiñ
ḳhvāb shāyad phir huā āñkhoñ meñ koī sañgsār
zer-e-mizhgāñ ḳhuun kī dhāreñ kahāñ se aa ga.iiñ
shāyad ab tak mujh meñ koī ghoñsla ābād hai
ghar meñ ye chiḌiyoñ kī chahkāreñ kahāñ se aa ga.iiñ
saath hai milnā agar chāhūñ to miltā bhī nahīñ
ek ghar meñ itnī dīvāreñ kahāñ se aa ga.iiñ
rakh diyā kis ne mire shāne pe apnā garm haath
mujh shikasta-pā meñ raftāreñ kahāñ se aa ga.iiñ