silsile ke baad koī silsila raushan kareñ
ik diyā jab saath chhoḌe dūsrā raushan kareñ
is tarah to aur bhī kuchh bojh ho jā.egī raat
kuchh kaheñ koī charāġh-e-vāqi.a raushan kareñ
jaane vaale saath apne le ga.e apne charāġh
aane vaale log apnā rāsta raushan kareñ
jaltī bujhtī raushnī kā khel bachchoñ ko dikhā.eñ
sham.a rakkheñ haath meñ ghar meñ havā raushan kareñ
āgahī dānish duā jazba aqīda falsafa
itnī qabreñ haa.e kis kis par diyā raushan kareñ
shaam yādoñ se mo.attar hai munavvar hai 'zafar'
aaj ḳhushbū ke vazū se dast o pā raushan kareñ