jo apnī hai vo ḳhāk-e-dil-nashīñ hī kaam aa.egī
giroge āsmāñ se jab zamīñ hī kaam aa.egī
yahāñ se mat uThā bistar ki is saffāk āñdhī meñ
ye TuuTī phūTī dīvār-e-yaqīñ hī kaam aa.egī
uThā rakkhā thā sahrā sar pe tum ne kaun mānegā
jhaTaknā mat ki ye gard-e-jabīñ hī kaam aa.egī
vo din aa.egā jab saare samundar suukh jā.eñge
miyāñ andar kī jū-e-ātashīñ hī kaam aa.egī
koī āñkhoñ ke shole poñchhne vaalā nahīñ hogā
'zafar' sāhab ye giilī āstīñ hī kaam aa.egī