na bhuul paa.e tumheñ hādisa hī aisā thā
na bhar sakā koī us ko ḳhalā hī aisā thā
vo mujh meñ rah ke mujhe kāTtā rahā pal-pal
zabāñ pe aa na sakā mājrā hī aisā thā
nazar na aa.ī kahīñ duur duur tak koī mauj
maiñ ġharq ho gayā tūfāñ uThā hī aisā thā
na aayā lutf kisī aur ġham ko jhelne meñ
ġham-e-hayāt tirā zā.iqa hī aisā thā
khule to lab magar alfāz donoñ samt na the
mukālima na huā marhala hī aisā thā
ab us kā rañj bhī kyā kyuuñ lahūluhān haiñ paañv
chale the jis pe 'zafar' rāsta hī aisā thā