kaT ga.iiñ saarī patañgeñ Dor se
chaltī haiñ kaise havā.eñ zor se
bevafā saare parinde ho ga.e
dostī apnī bhī thī ik mor se
chand jazbe jañg meñ mashġhūl the
rāt-bhar maiñ so na paayā shor se
āḳhirash sūraj uḌā ke le ga.e
bhiik kab tak māñgte ham bhor se
ik na ik din sard jhoñke ā.eñge
rābta rakhiye ghaTā-ghañghor se
qabr pe aañsū bahā ke aa.e haiñ
baaġh meñ milne ga.e the mor se
maiñ ye samjhā thā qayāmat aa ga.ī
aadmī chīḳhā thā itnī zor se