mujhe ma.alūm hai maiñ aaj kyā huuñ
ḳhudā huuñ par abhī soyā huā huuñ
sar-e-mahfil maiñ yuuñ ḳhāmosh rah kar
sabhī logoñ ke tevar dekhtā huuñ
mirā maz.hab faqat insāniyat hai
jise har-hāl meñ maiñ pūjtā huuñ
nahīñ us rāste kā koī rahbar
ki jis raste pe ab maiñ chal paḌā huuñ
mujhe sab dekh kar hairān kyuuñ haiñ
maiñ qātil huuñ koī yā devtā huuñ
burā kahne se pahle soch lenā
maiñ jaisā bhī huuñ lekin aap kā huuñ
mujhe tum mere andar DhūñDhte ho
par ik arse se maiñ to lāpata huuñ