raah bhaTkā huā insān nazar aatā hai
terī āñkhoñ meñ to tūfān nazar aatā hai
paas se dekho to ma.alūm paḌegā tum ko
kaam bas duur se āsān nazar aatā hai
is ko ma.alūm nahīñ apne vatan kī sarhad
ye parinda abhī nādān nazar aatā hai
bas vahī bhūmī pe insān hai kahne laa.eq
jis ko har shaḳhs meñ bhagvān nazar aatā hai
aa.ī jis roz se beTī pe javānī us kī
baap har vaqt pareshān nazar aatā hai
jab se tum chhoḌ ga.e mujh ko akelā 'amabar'
shahr saarā mujhe vīrān nazar aatā hai