terā afsānā chheḌ kar koī
aaj jāgegā rāt-bhar koī
aise vo dil ko toḌ detā hai
dil na ho jaise ho samar koī
raat hote hī mere pahlū meñ
TuuT kar jaatā hai bikhar koī
chand lamhoñ meñ toḌ sab rishte
de gayā dard umr-bhar koī
ishq kartā nahīñ huuñ maiñ tum se
kah ke pachhtāyā umr-bhar koī
maiñ vafā kar ke bā-vafā Thahrā
bevafā ho gayā magar koī
kaaT kar peT joḌegā paise
tab ḳharīdegā ek ghar koī
tere aane kī aas meñ 'amabar'
dekhtā hogā rahguzar koī