vo mujhe aasrā to kyā degā
chaltā dekhegā to girā degā
qarz to terā vo chukā degā
lekin ehsān meñ dabā degā
hausle hoñge jab buland tire
tab samundar bhī rāsta degā
ek din tere jism kī rañgat
vaqt Dhaltā huā miTā degā
haath par haath rakh ke baiThā hai
khāne ko kyā tujhe ḳhudā degā
laakh gaalī faqīr ko de lo
is ke badle bhī vo duā degā
ḳhvāb kuchh kar guzarne kā terā
gahrī nīñdoñ se bhī jagā degā
kyā pata thā ki jalte ghar ko mire
merā apnā sagā havā degā