Khwaja Meer Dard

milaun kis ki aankhon se main apni chashm-e-hairan ko

Khwaja Meer Dard

Delhi, India

1721-1785
milā.ūñ kis kī āñkhoñ se maiñ apnī chashm-e-hairāñ ko
ayaañ jab har jagah dekhūñ usī ke nāz-e-pinhāñ ko
tujhe ai sham.a kyā dekheñ zamāne ko dikhānā hai
hameñ juuñ kāġhaz-e-ātish-zada aur hī charāġhāñ ko
na tanhā kuchh yahī atfāl dushman haiñ divānoñ ke
bhare hai koh bhī dekhā to yaañ pattharoñ se dāmāñ ko
jhamakte haiñ sitāroñ kī tarah surāḳh hastī ke
chhupāyā go ki juuñ ḳhurshīd meñ dāġh-e-numāyāñ ko
na vājib hī kahā jaave na sādiq mumtanā us par
kiyā tashḳhīs kuchh ham ne na hargiz shaḳhs-e-imkāñ ko
Top Urdushayar.com