chaman meñ sub.h ye kahtī thī ho kar chashm-e-tar shabnam
bahār-e-bāġh go yuuñ hī rahī lekin kidhar shabnam
araq kī buuñd us kī zulf se ruḳhsār par Tapkī
ta.ajjub kī hai jāgah ye paḌī ḳhurshīd par shabnam
hameñ to baaġh tujh bin ḳhāna-e-mātam nazar aayā
idhar gul phāḌte the jaib rotī thī udhar shabnam
kare hai kuchh se kuchh tāsīr-e-sohbat saaf tabaoñ kī
huī ātish se gul kī baiThte rashk-e-sharar shabnam
bhalā Tuk sub.h hone do ise bhī dekh leveñge
kisī āshiq ke rone se nahīñ rakhtī ḳhabar shabnam
nahīñ asbāb kuchh lāzim subuksāroñ ke uThne ko
ga.ī uḌ dekhte apne baġhair-az-bāl-o-par shabnam
na paayā jo gayā is baaġh se hargiz surāġh us kā
na palTī phir sabā īdhar na phir aa.ī nazar shabnam
na samjhā 'dard' ham ne bhed yaañ kī shādī o ġham kā
sahar ḳhandāñ hai kyuuñ rotī hai kis ko yaad kar shabnam