Khwaja Meer Dard

ishq har-chand meri jaan sada khata hai

Khwaja Meer Dard

Delhi, India

1721-1785
ishq har-chand mirī jaan sadā khātā hai
par ye lazzat to vo hai jī hī jise paatā hai
aah kab tak maiñ bakūñ terī balā suntī hai
bāteñ logoñ kī jo kuchh dil mujhe sunvātā hai
ham-nashīñ pūchh na us shoḳh kī ḳhūbī mujh se
kyā kahūñ tujh se ġharaz jī ko mire bhātā hai
baat kuchh dil kī hamāre to na suljhī ham se
aapī ḳhush hove hai phir aap hī ghabrātā hai
jī kaḌā kar ke tire kūche se jab jaatā huuñ
dil-e-dushman ye mujhe gher ke phir laatā hai
raah peñDe kabhū us shoḳh ke ta.iiñ ham se bhī
diid vā diid to hotī hai jo mil jaatā hai
'dard' kī qadr mire yaar samajhnā vallāh
aisā āzād tire daam meñ yuuñ aatā hai
Top Urdushayar.com