sīna-o-dil hasratoñ se chhā gayā
bas hujūm-e-yās jī ghabrā gayā
tujh se kuchh dekhā na ham ne juz jafā
par vo kyā kuchh hai ki jī ko bhā gayā
khul nahīñ saktī haiñ ab āñkheñ mirī
jī meñ ye kis kā tasavvur aa gayā
maiñ to kuchh zāhir na kī thī jī kī baat
par mirī nazroñ ke Dhab se pā gayā
pī ga.ī kitnoñ kā lohū terī yaad
ġham tirā kitne kaleje khā gayā
miT ga.ī thī us ke jī se to jhichak
'dard' kuchh kuchh bak ke tū chauñkā gayā