Khwaja Meer Dard

mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin

Khwaja Meer Dard

Delhi, India

1721-1785
mujhe dar se apne tū Taale hai ye batā mujhe tū kahāñ nahīñ
koī aur bhī hai tire sivā tū agar nahīñ tū jahāñ nahīñ
paḌī jis taraf ko nigāh yaañ nazar aa gayā hai ḳhudā hī vaañ
ye haiñ go ki āñkhoñ kī putliyāñ mire dil meñ jaa.e butāñ nahīñ
mire dil ke shīshe ko bevafā tū ne TukḌe TukḌe hī kar diyā
mire paas to vahī ek thā yaañ dukān-e-shīsha-garāñ nahīñ
mujhe raat saarī hī tere haañ kaTe kyuuñ ke rote na sham.a saañ
ki ho sake hai kuchh ab bayāñ na ye baat hai ki zabāñ nahīñ
koī samjhe kyuuñ ke ye mudda.ā ki pahelī sā hai ye mājrā
kahā maiñ tujhe nahīñ chaah kyā lagā kahne mujh se ki haañ nahīñ
na milā hameñ koī nukta-dāñ ye bipat sunā deñ bhalā kahāñ
na huā sabhoñ pe vahī ayaañ jo kasū se yaañ to nihāñ nahīñ
tujhe dard kyuuñ ki sunā.ūñ maiñ na ḳhudā kisī ko dikhā.e ye
jo kuchh apne jī pe guzartī hai kahūñ kyā ki us kā bayāñ nahīñ
Top Urdushayar.com