ik baat bahut ḳhaas thī chehroñ ke safar meñ
TuuTe hue aa.ine mile rāhguzar meñ
rahtā huuñ ujāloñ ke añdheroñ ke safar meñ
ye kis ne mujhe baañT diyā shām-o-sahar meñ
dīvāngī-e-shauq kī azmat hai nazar meñ
sahrāoñ kī tasvīr lagā rakkhī hai ghar meñ
jab tak ki na aa jā.ūñ maiñ sāhil kī nazar meñ
rahne de mujhe gardish-e-taqdīr bhañvar meñ
aa jaa.e agar baal to miT jaate haiñ jauhar
maiñ rakhtā nahīñ TuuTā huā aa.ina ghar meñ
baḌh jā.egī ai ham-safaro dūrī-e-manzil
guzrī huī bātoñ ko na doharāo safar meñ
ho pyaar to āsānī se aa saktā hai 'saulat'
jannat kā maza chhoTe se TuuTe hue ghar meñ