jag meñ aa kar idhar udhar dekhā
tū hī aayā nazar jidhar dekhā
jaan se ho ga.e badan ḳhālī
jis taraf tū ne aañkh bhar dekhā
naala fariyād aah aur zaarī
aap se ho sakā so kar dekhā
un laboñ ne na kī masīhā.ī
ham ne sau sau tarah se mar dekhā
zor āshiq-mizāj hai koī
'dard' ko qissa muḳhtasar dekhā