Khwaja Meer Dard

jag mein koi na Tuk hansa hoga

Khwaja Meer Dard

Delhi, India

1721-1785
jag meñ koī na Tuk hañsā hogā
ki na hañste meñ ro diyā hogā
un ne qasdan bhī mere naale ko
na sunā hogā gar sunā hogā
dekhiye ab ke ġham se jī merā
na bachegā bachegā kyā hogā
dil zamāne ke haath se sālim
koī hogā jo rah gayā hogā
haal mujh ġham-zada kā jis tis ne
jab sunā hogā ro diyā hogā
dil ke phir zaḳhm taaza hote haiñ
kahīñ ġhuncha koī khilā hogā
yak-ba-yak naam le uThā merā
jī meñ kyā us ke aa gayā hogā
mere nāloñ pe koī duniyā meñ
bin kiye aah kam rahā hogā
lekin us ko asar ḳhudā jaane
na huā hogā yā huā hogā
qatl se mere vo jo baaz rahā
kisī bad-ḳhvāh ne kahā hogā
dil bhī ai 'dard' qatra-e-ḳhūñ thā
āñsuoñ meñ kahīñ girā hogā
Top Urdushayar.com