mizhgān-e-tar huuñ yā rag-e-tāk-e-burīda huuñ
jo kuchh ki huuñ so huuñ ġharaz āfat-rasīda huuñ
khīñche hai duur aap ko merī farotanī
uftāda huuñ pa sāya-e-qadd-e-kashīda huuñ
har shaam misl-e-shām huuñ maiñ tīra-rozgār
har sub.h misl-e-sub.h garebāñ-darīda huuñ
kartī hai bū-e-gul tū mire saath iḳhtilāt
par aah maiñ to mauj-e-nasīm-e-dazīda huuñ
tū chāhtī hai to tapish-e-dil ki ba.ad-e-marg
kunj-e-mazār meñ bhī na maiñ ārmīda huuñ
ai 'dard' jā chukā hai mirā kaam zabt se
maiñ ġham-zada to qatra-e-ashk-e-chakīda huuñ