Khwaja Meer Dard

qatl-e-ashiq kisi mashuq se kuchh dur na tha

Khwaja Meer Dard

Delhi, India

1721-1785
qatl-e-āshiq kisī ma.ashūq se kuchh duur na thā
par tire ahd se aage to ye dastūr na thā
raat majlis meñ tire husn ke sho.ale ke huzūr
sham.a ke muñh pe jo dekhā to kahīñ nuur na thā
zikr merā hī vo kartā thā sarīhan lekin
maiñ ne pūchhā to kahā ḳhair ye mazkūr na thā
bāvajūde ki par-o-bāl na the aadam ke
vahāñ pahuñchā ki farishte kā bhī maqdūr na thā
parvarish ġham kī tire yaañ ta.iiñ to kī dekhā
koī bhī daaġh thā siine meñ ki nāsūr na thā
mohtasib aaj to mai-ḳhāne meñ tere hāthoñ
dil na thā koī ki shīshe kī tarah chuur na thā
'dard' ke milne se ai yaar burā kyuuñ maanā
us ko kuchh aur sivā diid ke manzūr na thā
Top Urdushayar.com