ham ne kis raat naala sar na kiyā
par use aah kuchh asar na kiyā
sab ke haañ tum hue karam-farmā
is taraf ko kabhū guzar na kiyā
kyuuñ bhaveñ tānte ho banda-navāz
siina kis vaqt maiñ sipar na kiyā
kitne bandoñ ko jaan se khoyā
kuchh ḳhudā kā bhī tū ne Dar na kiyā
dekhne ko rahe taraste ham
na kiyā rahm tū ne par na kiyā
aap se ham guzar ga.e kab ke
kyā hai zāhir meñ go safar na kiyā
kaun sā dil hai vo ki jis meñ aah
ḳhāna-ābād tū ne ghar na kiyā
tujh se zālim ke sāmne aayā
jaan kā maiñ ne kuchh ḳhatar na kiyā
sab ke jauhar nazar meñ aa.e 'dard'
be-hunar tū ne kuchh hunar na kiyā