rabt hai nāz-e-butāñ ko to mirī jaan ke saath
jī hai vābasta mirā un kī har ik aan ke saath
apne hāthoñ ke bhī maiñ zor kā dīvāna huuñ
raat din kushtī hī rahtī hai garebān ke saath
jo jafā-jū haiñ unheñ sañg-dilī lāzim hai
kaam talvār ko rahtā hai sadā saan ke saath
gar masīhā-nafasī hai yahī mutrib to ḳhair
jī hī jaate haiñ chale terī har ik taan ke saath
'dard' har-chand maiñ zāhir meñ to huuñ mor-e-za.īf
zor nisbat hai vale mujh ko 'sulaimān' ke saath