Khwaja Meer Dard

madrasa ya dair tha ya kaba ya but-KHana tha

Khwaja Meer Dard

Delhi, India

1721-1785

madrasa dair thā ka.aba but-ḳhāna thā

ham sabhī mehmān the vaañ sāhab-ḳhāna thā

vaa.e nādānī ki vaqt-e-marg ye sābit huā

ḳhvāb thā jo kuchh ki dekhā jo sunā afsāna thā

haif! kahte haiñ huā gulzār tārāj-e-ḳhizāñ

āshnā apnā bhī vaañ ik sabza-e-begāna thā

ho gayā mehmāñ-sarā-e-kasrat-e-mauhūm aah

vo dil-e-ḳhālī ki terā ḳhaas ḳhalvat-ḳhāna thā

bhuul ḳhush rah abas ve sābiaqe mat yaad kar

'dard'! ye mazkūr kyā hai āshnā thā na thā

Top Urdushayar.com