Khwaja Meer Dard

bagh-e-jahan ke gul hain ya Khaar hain to hum hain

Khwaja Meer Dard

Delhi, India

1721-1785
bāġh-e-jahāñ ke gul haiñ yā ḳhaar haiñ to ham haiñ
gar yaar haiñ to ham haiñ aġhyār haiñ to ham haiñ
dariyā-e-ma.arifat ke dekhā to ham haiñ sāhil
gar vaar haiñ to ham haiñ aur paar haiñ to ham haiñ
vābasta hai hamīñ se gar jabr hai o gar qadr
majbūr haiñ to ham haiñ muḳhtār haiñ to ham haiñ
terā hī husn jag meñ har-chand maujzan hai
tis par bhī tishna-kām-e-dīdār haiñ to ham haiñ
alfāz-e-ḳhalq ham bin sab mohmalāt se the
ma.anī kī tarah rabt-e-guftār haiñ to ham haiñ
auroñ se to girānī yak-laḳht uTh ga.ī hai
ai 'dard' apne dil ke gar baar haiñ to ham haiñ
Top Urdushayar.com