Khwaja Meer Dard

mera ji hai jab tak teri justuju hai

Khwaja Meer Dard

Delhi, India

1721-1785
mirā jī hai jab tak tirī justujū hai
zabāñ jab talak hai yahī guftugū hai
ḳhudā jaane kyā hogā anjām is kā
maiñ be-sabr itnā huuñ vo tund-ḳhū hai
tamannā tirī hai agar hai tamannā
tirī aarzū hai agar aarzū hai
kiyā sair sab ham ne gulzār-e-duniyā
gul-e-dostī meñ ajab rañg-o-bū hai
ġhanīmat hai ye diid va dīd-e-yārāñ
jahāñ aañkh muñd ga.ī na maiñ huuñ na tū hai
nazar mere dil kī paḌī 'dard' kis par
jidhar dekhtā huuñ vahī rū-ba-rū hai
Top Urdushayar.com