ham tujh se kis havas kī falak justujū kareñ
dil hī nahīñ rahā hai ki kuchh aarzū kareñ
miT jaa.eñ ek aan meñ kasrat-numā.iyāñ
ham aa.ine ke sāmne jab aa ke hū kareñ
tar-dāmanī pe shaiḳh hamārī na jā.iyo
dāman nichoḌ deñ to farishte vuzū kareñ
sar-tā-qadam zabān haiñ juuñ sham.a go ki ham
par ye kahāñ majāl jo kuchh guftugū kareñ
har-chand aa.ina huuñ par itnā huuñ nā-qubūl
muñh pher le vo jis ke mujhe rū-ba-rū kareñ
ne gul ko hai sabāt na ham ko hai e'tibār
kis baat par chaman havas-e-rañg-o-bū kareñ
hai apnī ye salāh ki sab zāhidān-e-shahr
ai 'dard' aa ke bai.at-e-dast-e-subū kareñ