Saulat Zaidi

fikr-e-naqqad-e-adab dirham-o-dinar mein hai

Saulat Zaidi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936
fikr-e-naqqād-e-adab dirham-o-dīnār meñ hai
kaun sī jins-e-suḳhan kūcha-o-bāzār meñ hai
garmī-e-husn mirī garmī-e-afkār meñ hai
vo agar mujh meñ nahīñ hai mire ash.ār meñ hai
pā-ba-zanjīr mujhe laakh zamāna samjhe
mire qadmoñ kī dhamak vaqt kī raftār meñ hai
raat qaabū meñ rahe shahr ke hālāt magar
laash ik lipTī huī sub.h ke aḳhbār meñ hai
koī āvāra sā jhoñkā koī bāġhī sā ḳhayāl
jis se maiñ ḳhauf-zada huuñ mire ash.ār meñ hai
kal isī ghar meñ ġhazal us ne sunā.ī hogī
jānī-pahchānī sī ḳhushbū dar-o-dīvār meñ hai
sāhil-e-maslahat-e-vaqt mujhe jaane de
us safīne ne pukārā hai jo majdhār meñ hai
vo mohabbat kā mujāhid vo muravvat kā shahīd
kal kā 'saulat' abhī zinda mire afkār meñ hai
Top Urdushayar.com