Saulat Zaidi

Tis bhi Tis na thi zaKHm-e-jigar hone tak

Saulat Zaidi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936
Tiis bhī Tiis na thī zaḳhm-e-jigar hone tak
phuul bhī phuul na thā ḳhuun meñ tar hone tak
vahī haqdār hai sūraj kī kiran kā jis ne
raat kī zulf sañvārī hai sahar hone tak
taare dīvāne nahīñ haiñ ki jo thāme hī raheñ
dāman-e-shab ko garebān-e-sahar hone tak
pūchhiye ḳhizr se kyā vo bhī raheñge zinda
apnī bātoñ kā habāboñ pe asar hone tak
ek aañsū kī tarah tum mujhe ruḳhsat karnā
rok lo palkoñ pe āġhāz-e-safar hone tak
zindagānī kī haqīqat ko na samjhe 'saulat'
shā.irī karte rahe umr basar hone tak
Top Urdushayar.com