Saulat Zaidi

rah ke KHamosh bhi elan bahut karta hai

Saulat Zaidi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936
rah ke ḳhāmosh bhī elaan bahut kartā hai
aa.ina chehroñ kā nuqsān bahut kartā hai
aao sahrā meñ ye dīvāne se chal kar pūchheñ
phuul kyuuñ chaak garebān bahut kartā hai
raushnī likh nahīñ saktā kisī qismat meñ charāġh
raat aatī hai to ehsān bahut kartā hai
aao ab aql kī mīzān pe toleñ us ko
vo vafādārī kā elaan bahut kartā hai
ye nayā daur jo ehsān to kartā hī nahīñ
aur sharminda-e-ehsān bahut kartā hai
suunī rah jaa.eñ jo shāḳheñ to gilā bhī na kare
vo parindoñ ko pareshān bahut kartā hai
aaj 'saulat' kī ye pahchān bahut kaafī hai
dil-o-jāñ aap pe qurbān bahut kartā hai
Top Urdushayar.com