Saulat Zaidi

chand diwaren kisi ko din kisi ko dar diye

Saulat Zaidi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1936
chand dīvāreñ kisī ko diiñ kisī ko dar diye
ham ne ik chhoTe se ghar ke kitne TukḌe kar diye
be-adab nañgī nigāhoñ se bachāne ke liye
ham ne ma.anī ko badan alfāz ko paikar diye
kyā haqīqat kī numā.ish merī ḳhātir jurm thī
tū ne jo ā.īna dekhā us ke TukḌe kar diye
ro rahe ho der se shīshe kī kircheñ dekh kar
tum ne kyuuñ ahl-e-junūñ ke haath meñ patthar diye
dopahar ke ba.ad us ne phuul jaise haath se
shaam tak lohe kī zanjīroñ ke TukḌe kar diye
dil kī gahrā.ī meñ kyā hai mujh se ai 'saulat' na pūchh
jitne dariyā aañkh se nikle samundar kar diye
Top Urdushayar.com