Aslam Habeeb

dosti ko aam karna chahta hai

Aslam Habeeb

dostī ko aam karnā chāhtā hai
ḳhud ko vo nīlām karnā chāhtā hai
bech aayā hai ghaTā ke haath sūraj
dopahar ko shaam karnā chāhtā hai
naukrī pe bas nahīñ jaañ pe to hogā
ab vo koī kaam karnā chāhtā hai
umr-bhar ḳhud se rahā nārāz lekin
dūsroñ ko raam karnā chāhtā hai
bechtā hai sach bhare bāzār meñ vo
zahar pī kar naam karnā chāhtā hai
maqta-e-be-rañg kah kar aaj 'aslam'
hujjat-e-itmām karnā chāhtā hai
Top Urdushayar.com