rañg kā farq miTāyā ye sharaf merā thā
sañg-e-asvad thā mirā durr-e-najaf merā thā
sub.h-e-bai.at kī vo zahrīlī havā terī thī
aur jo phuul thā shamshīr-ba-kaf merā thā
rah ke paanī meñ bhī paanī se bahut duur rahā
thā jo dariyā meñ vafāoñ kā sadaf merā thā
dīn-o-duniyā meñ rahī jañg añdhere ke sabab
sub.h ke vaqt magar merī taraf merā thā
us ko karnā hī paḌā sar mirā ūñchā 'saulat'
aaj neze ne bhī samjhā jo sharaf merā thā