lā.egā rañg zabt-e-fuġhāñ dekhte raho
phūTegī har kalī meñ zabāñ dekhte raho
barpā sar-e-hayāt hai ik hashr-e-dār-o-gīr
detā hai kaun kis ko amaañ dekhte raho
dam-bhar ko āstān-e-tamannā pe hai hujūm
jaa.e bichhaḌ ke kaun kahāñ dekhte raho
milne ko hai ḳhamoshi-e-ahl-e-junūñ kī daad
uThne ko hai zamīñ se dhuāñ dekhte raho
mahfil meñ un kī sham.a jalī hai ki jān-o-dil
khultā hai kab ye rāz-e-nihāñ dekhte raho
hai barg-e-gul ko bārish-e-miqrāz ke payām
tarz-e-tapāk-e-ahl-e-jahāñ dekhte raho
aa.ī nigār-e-ġham kī sadā 'hosh' ham chale
tum imtiyāz-e-sūd-o-ziyāñ dekhte raho