Hosh Tirmizi

yaaden chalen KHayal chala ashk-e-tar chale

Hosh Tirmizi

yādeñ chaleñ ḳhayāl chalā ashk-e-tar chale
le kar payām-e-shauq ka.ī nāma-bar chale
dil ko sambhālte rahe har hādse ye ham
ab kyā kareñ ki ḳhud tire gesū bikhar chale
har gaam par shikast ne yuuñ hausla diyā
jis tarah saath saath koī ham-safar chale
shauq-e-talab na ho koī bāñg-e-jaras to ho
āḳhir koī chale to kis ummīd par chale
ab kyā karoge sair-e-saman-zār-e-ārzū
rut jā chukī chaḌhe hue dariyā utar chale
rāhoñ meñ 'hosh' sañg baraste haiñ har taraf
le kar ye kārvān-e-tamannā kidhar chale
Top Urdushayar.com