dil ko ġham raas hai yuuñ gul ko sabā ho jaise
ab to ye dard kī sūrat hī davā ho jaise
har-nafs halqa-e-zanjīr nazar aatā hai
zindagī jurm-e-tamannā kī sazā ho jaise
kaan bajte haiñ sukūt-e-shab-e-tanhā.ī meñ
vo ḳhamoshī hai ki ik hashr bapā ho jaise
ab to dīvānoñ se yuuñ bach ke guzar jaatī hai
bū-e-gul bhī tire dāman kī havā ho jaise
kahte kahte ġham-e-dil umr guzārī lekin
phir bhī ehsās ye hai kuchh na kahā ho jaise
'hosh' be-tābi-e-ehsās kā aalam tauba
mujh meñ chhup kar vo mujhe dekh rahā ho jaise