Hosh Tirmizi

go dagh ho gae hain wo chhaale paDe hue

Hosh Tirmizi

go daaġh ho ga.e haiñ vo chhāle paḌe hue
haiñ ab bhī dil meñ tere havāle paḌe hue
dasht-e-vafā meñ jal ke na rah jaa.eñ apne dil
vo dhuup hai ki rañg haiñ kaale paḌe hue
sho.ale sā rañg kyā hai vo husn-e-karishma-sāz
haiñ kashmakash meñ dekhne vaale paḌe hue
shabnam sazā hai jur.at-e-ifshā-e-rāz kī
goyā zabān-e-gul meñ haiñ chhāle paḌe hue
dekho hameñ ki manzil-e-hosh-o-talab meñ haiñ
lekin lab-e-savāl pe taale paḌe hue
be-his guzar na yuuñ chaman-e-rozgār se
kāñTe yā phuul kuchh to uThā le paḌe hue
jā.eñge shakl-e-nau se sar-e-bazm-e-yār 'hosh'
muñh par bhabūt kaan meñ baale paḌe hue
Top Urdushayar.com