Hosh Tirmizi

milta nahin mizaj KHud apni ada mein hai

Hosh Tirmizi

miltā nahīñ mizāj ḳhud apnī adā meñ hai
terī galī se aa ke sabā bhī havā meñ hai
ai ishq terī dūsrī manzil bhī hai kahīñ
marnā hai ibtidā meñ to kyā intihā meñ hai
laatī hai jab sabā to chamakte haiñ bām-o-dar
ye raushnī sī kyā tirī bū-e-qabā meñ hai
har rahguzar nishāñ hai tirī samt kā magar
iqrār-e-nā-rasī bhī har ik naqsh-e-pā meñ hai
tausīf-e-husn asl meñ hai vasf-e-husn-e-sāz
bandoñ se jis ko pyaar hai yād-e-ḳhudā meñ hai
ye tishnagī ye pās-e-vafā ye hujūm-e-ġham
kyā kārvān-e-shauq kisī karbalā meñ hai
sun kar ki 'hosh' ne bhī kiyā tark-e-ārzū
kohrām ik machā huā shahr-e-vafā meñ hai
Top Urdushayar.com