Hosh Tirmizi

tazin-e-bazm-e-gham ke liye koi shai to ho

Hosh Tirmizi

taz.īn-e-bazm-e-ġham ke liye koī shai to ho
raushan charāġh-e-dil na sahī jām-e-mai to ho
ham to rahīn-e-rishta-e-be-gāngī rahe
saare jahāñ se terī mulāqāt hai to ho
ġham bhī mujhe qubūl hai lekin ba-qadr-e-shauq
dil kā nasīb dard sahī pai-ba-pai to ho
fariyād ek shor hai āhañg ke baġhair
naala matā-e-dard sahī koī lai to ho
ye kyā ki ahl-e-shauq na apne na aap ke
yā maut yā hayāt koī baat tai to ho
hai duur husn-e-silsila-e-zer-o-bam kī baat
pahle gudāz-e-sīna sazā-vār-e-nai to ho
har-chand do qadam hī sahī manzil-e-murād
ye muḳhtasar sī raah magar 'hosh' tai to ho
Top Urdushayar.com