Hosh Tirmizi

wo taqaza-e-junun ab ke bahaaron mein na tha

Hosh Tirmizi

vo taqāzā-e-junūñ ab ke bahāroñ meñ na thā
ek dāman bhī to uljhā huā ḳhāroñ meñ na thā
ashk-e-ġham tham ga.e yaad aate hī un kī sūrat
jab chaḌhā chāñd to phir nuur sitāroñ meñ na thā
marne jiine ko na samjhe to ḳhatā kis kī hai
kaun sā hukm hai jo un ke ishāroñ meñ na thā
har qadam ḳhaak se dāman ko bachāyā tum ne
phir ye shikva hai ki maiñ rāh-guzāroñ meñ na thā
tum sā lākhoñ meñ na thā jān-e-tamannā lekin
ham sā mahrūm-e-tamannā bhī hazāroñ meñ na thā
'hosh' karte na agar zabt-e-fuġhāñ kyā karte
pursish-e-ġham kā salīqa bhī to yāroñ meñ na thā
Top Urdushayar.com