Hosh Tirmizi

kaho maal-e-arzu ho kya agar ghuTe na dam

Hosh Tirmizi

kaho ma.āl-e-ārzū ho kyā agar ghuTe na dam
ki apne iḳhtiyār meñ na arz-e-ġham na zabt-e-ġham
tirā kahīñ pata nahīñ uTheñ to kis taraf qadam
udhar baḌhūñ to but-kada idhar chalūñ to hai haram
mile the shaiḳh-o-barahman fareb haiñ tirī qasam
use hī dhan ḳhudā ḳhudā use lagan sanam sanam
hazār kāvishoñ pe bhī hai zindagī rahīn-e-ġham
nafas nafas nazar nazar ravish ravish qadam qadam
ḳhirad kī baat pe na jā junūñ ke mai-kada meñ aa
yahāñ na rasm-e-pesh-o-pas na koī fikr-e-besh-o-kam
uThā na bār-e-bandagī ki mohtaram hai zindagī
dhaḌak rahā hai dil agar khanak rahā hai jām-e-jam
havā-e-shauq tham ga.ī havas kī mel jam ga.ī
kahāñ vo hashr aarzū na dil tapāñ na aañkh nam
yahī ḳhalish hai muttasil sar-e-chaman hadīs-e-dil
kaTīñ hazār uñgliyāñ kareñge ham yūñhī raqam
hai un se be-ta.alluqī na dostī na dushmanī
batāo 'hosh' kyā kareñ kahīñ ke ab rahe na ham
Top Urdushayar.com