Hosh Tirmizi

pas-e-namus-e-tamanna har ek aazar mein tha

Hosh Tirmizi

pās-e-nāmūs-e-tamannā har ik āzār meñ thā
nashsha-e-nig.hat-e-gul bhī ḳhalish-e-ḳhār meñ thā
kis se kahiye ki zamāne ko garāñ guzrā hai
vo fasāna ki mirī hasrat-e-guftār meñ thā
dil ki aatā hī nahīñ tark-e-tamannā kī taraf
koī iqrār kā pahlū tire inkār meñ thā
kuchh tujhe yaad hai ai chashm-e-zuleḳhā-e-jahāñ
ham sā yūsuf bhī koī misr ke bāzār meñ thā
zindagī jā na sakī shām-o-sahar se aage
saarā aalam isī ā.īna-e-takrār meñ thā
umr bhar chashm-e-tamāshā ko rahī jis kī talāsh
'hosh' vo husn-e-gurezāñ mire ash.ār meñ thā
Top Urdushayar.com