dekhe haiñ jo ġham dil se bhulā.e nahīñ jaate
ik umr huī yaad ke saa.e nahīñ jaate
ashkoñ se ḳhabar-dār ki ā.ankhoñ se na nikleñ
gir jaa.eñ ye motī to uThā.e nahīñ jaate
har jumbish-e-dāmān-e-junūñ jān-e-adab hai
is raah meñ ādāb sikhā.e nahīñ jaate
ham bhī shab-e-gesū ke ujāloñ meñ rahe haiñ
kyā kījiye din pher ke laa.e nahīñ jaate
shikva nahīñ samjhā.e koī chāragaroñ ko
kuchh zaḳhm haiñ aise ki dikhā.e nahīñ jaate
ai dast-e-jafā sar haiñ ye arbāb-e-vafā ke
kaT jaa.eñ to kaT jaa.eñ jhukā.e nahīñ jaate
ai 'hosh' ġham-e-dil ke charāġhoñ kī hai kyā baat
ik baar jalā do to bujhā.e nahīñ jaate