mirī ḳhaak us ne bikher dī sar-e-rah ġhubār banā diyā
maiñ jab aa sakā na shumār meñ mujhe be-shumār banā diyā
tirā naqsh utrā sar-e-varaq to tasarruf-e-lab-o-chashm se
bhare rañg maiñ ne kuchh is tarah ise shāhkār banā diyā
tire juzv juzv ḳhayāl ko rag-e-jāñ meñ puurā utaar kar
vo jo baar baar kī shakl thī use ek baar banā diyā
mujhe nañg-e-naqsh hī kab kiyā bharīñ us ne aisī siyāhiyāñ
ki mire hī kūcha o shahr meñ mujhe ishtihār banā diyā
ye nahīñ ki us ne durīda-tan sar-e-naḳhl-e-ḳhār piro diyā
mirī dhajjiyoñ ko bhī khīñch kar mujhe taar taar banā diyā