agarche mujh ko be-tauq-o-rasan-basta nahīñ chhoḌā
kisī qaidī ko us ne is qadar sastā nahīñ chhoḌā
har ik se dūsre kā rabt us ne toḌ Daalā hai
kisī kā dil kisī ke dil se vābasta nahīñ chhoḌā
ḳhud apne ḳhvāb chun aayā huuñ kuchh rañgīn dhokoñ meñ
kisī titlī kī ḳhātir maiñ ne guldasta nahīñ chhoḌā
suneñ rūdād-e-ġham kis se ki āshob-e-tabāhī ne
koī ik bhī gharānā shahr meñ bastā nahīñ chhoḌā
kaheñ kyā haal qabroñ kā ki ab ke us ne bastī meñ
janāze bhī guzarne kā koī rasta nahīñ chhoḌā
kahāñ par us ne mujh par tāliyāñ bajtī nahīñ chāheñ
kahāñ kis kis ko mere haal par hañstā nahīñ chhoḌā